darwaza mayus hai shayad sog mein hai angnai bahut

darwaza mayus hai shayad sog mein hai angnai bahut
ek muddat par apne ghar ki aai to yaad aai bahut

main kya jaanun bhed hai kaisa puchho ghat ke patthar se
dhire dhire aakhir kaise jam jati hai kai bahut

purab pachchhim uttar dakhkhin har jaanib hai ek hi haal
koi bhi mausam ho gham ki chalti hai purwai bahut

andhe bahre gunge sae khak mere kaam aaenge
aawazon ke is jangal mein dasti hai tanhai bahut

kahti hain kuchh aur lakiren lafzon ka mafhum hai aur
chahe jo bhi naqsh ho is mein hoti hai gahrai bahut

pyar sharafat hamdardi isar wafa sachchai khulus
'raunaq' ye wo lafz hain jin se hoti hai ruswai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close