is khizan ki rut mein apna sath achchha rah gaya sab parae ho gae ek main hi apna rah gaya zindagi hamwar thi to sath tha amboh ek zindagi ke mod par pahuncha to tanha rah gaya kal saja tha jin ke chehron par mohabbat ka naqab kitni hairat se unhen main aaj takta rah gaya ek saya tha chala subh-e-azal mujh se tawil aafaton ka aaftab aaya to chhota rah gaya wo zamana tha kabhi ki tha hujum ek subh o sham yaad tha sab kuchh hamein bas yaad itna rah gaya jo kisi ke jism ka kal tak raha tha ek libas ab alaihida yun hua ki koi nanga rah gaya har hasin chehre pe jam kar rah gai mausam ki gard har hasin chehra mere albam ka dhundla rah gaya main bhala kaise karun pabandi-e-ahl-e-fareb maslahat mein dub kar kaise wo sachcha rah gaya jab hui hai gham ki yurish har taraf se be-hisab main ne khushiyan bant din aur khud nihatta rah gaya har koi tark-e-talluq par musir hai ab 'khayal' aa mere dil tu bhi aa ja kis ka dhadka rah gaya