daryaft kar ke khud ko zamane se dur hun har shakhs ba-shuur hai main be-shuur hun hijrat mera nasib hai parwaz mashghala gumbad ke daere mein misal-e-tuyur hun gandum ki khushbu raqs mein rakhti hai raat-din masti-bhari sharab ke nashshe mein chur hun sadiyon se be-libas darida-badan udas taswir-e-kaenat mein be-rang-o-nur hun bosida si kitab ka ek hashiya ho tum lauh-e-azal pe likkha main bainassutur hun mera wajud pani hua mitti aur aag bikhri hui ana hun sulagta ghurur hun fard-e-amal nawishta-e-taqdir padh chuka khamosh sar jhukae khud apne huzur hun khincha nahin hisar koi apne ird-gird 'ishrat' main apni zat mein tanha zarur hun