ghuncha jo sar-e-shakh chatakte hue dekha pahlu mein bahut dil ko dhadakte hue dekha mehndi-rache hathon ne uthaya hi tha ghunghat ek shola-e-jawwala lapakte hue dekha wo tere bichhadne ka saman yaad jab aaya bite hue lamhon ko sisakte hue dekha bhula nahin ehsas tere lams ki khushbu tanhai mein anfas mahakte hue dekha khinche hue ab tir kaman mein hai wo baalak aaghosh mein jis ko na humakte hue dekha jab jab bhi charaghon ki lawen hum ne badhain kya kya na hawaon ko sanakte hue dekha