dasht-e-afkar mein sukhe hue phulon se mile kal teri yaad ke matub rasulon se mile apni hi zat ke sahra mein sulagte hue log apni parchhain se takrae hayyulon se mile ganw ki samt chali dhup doshaala odhe taki baghon mein thithurte hoe phulon se mile kaun udte hoe rangon ko giraftar kare kaun aankhon mein utarti hui dhulon se mile is bhare shahr mein 'nashtar' koi aisa bhi kahan roz jo sham mein hum jaise fuzulon se mile