na pahunche chhut kar kunj-e-qafas se hum nasheman tak par-e-parwaz ne yari na ki diwar-e-gulshan tak wo be-dil hun ki mujh se dosti karta hai dushman tak wo rahraw hun ki mujh ko rah batlata hai rahzan tak pas-e-murdan ye ai mashshata-e-baad-e-saba karna hamari khak surma ban ke pahunche chashm-e-rauzan tak khizan mein dekh lena wadi-e-pur-khar se bad-tar chaman bhi hai bahaar-e-lala-o-nasrin-o-sosan tak kidhar aaya hai dil pachhtaoge nadan na ho dekho na pahunchoge kabhi ai 'mehr' tum us shokh-e-har-fan tak