dasht-e-gham mein saya-e-gesu na dhundh pattharon mein dard ki khushbu na dhundh zindagi mein ab wo rang-o-bu na dhundh gul-ada gul-pairahan gul-ru na dhundh apne honton par tabassum kar talash waqt ke rukhsar par aansu na dhundh mastiyon mein raqs-e-taus ab kahan shokhiyon mein wo ram-e-ahu na dhundh maujzan hai dil mein jo tufan wo dekh khushk aankhon mein meri aansu na dhundh ho sake to is riwayat ko na tod main tujhe dhundunga mujh ko tu na dhundh dushmanon mein bhi mahasin kar talash ham-nafas tanqis ke pahlu na dhundh