is tarah dard ka tum apne mudawa karna yaad-e-mazi ko charagh-e-rah-e-farda karna teri duzdida-nigahi ke main sau bar nisar dekhne wale isi chah se dekha karna hashr tak jine ka arman liye baitha hun tum zara zist ke asbab muhayya karna khwahish-e-did ki tauhin hai jalwon ka khayal meri nazron ka taqaza hai ki parda karna ek ehsan hai qudrat ki jafa-kari par us ki duniya mein bhi jine ki tamanna karna meri taskin ke liye phir koi wada kije aap par farz nahin wade ka ifa karna husn betab ho khud wasl ki khatir ai 'habib' ishq ko chahiye andaz wo paida karna