dasht-e-ghurbat hai alalat bhi hai tanhai bhi

dasht-e-ghurbat hai alalat bhi hai tanhai bhi
aur un sab pe fuzun baadiya-paimai bhi

khwab-e-rahat hai kahan nind bhi aati nahin ab
bas uchat jaane ko aai jo kabhi aai bhi

yaad hai mujh ko wo be-fikri o aaghaz-e-shabab
sukhan-arai bhi thi anjuman-arai bhi

nigah-e-shauq-o-tamanna ki wo dilkash thi kamand
jis se ho jate the ram aahu-e-sahrai bhi

hum sanam-khana jahan karte the apna qaim
phir khade hote the wan hur ke shaidai bhi

ab na wo umr na wo log na wo lail o nahaar
bujh gai taba kabhi josh pe gar aai bhi

ab to shubhe bhi mujhe dew nazar aate hain
us zamane mein pari-zad thi ruswai bhi

kaam ki baat jo kahni ho wo kah lo 'akbar'
dam mein chhin jaegi ye taqat-e-goyai bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close