gila ai dil abhi se karta hai ishq ka dam usi pe bharta hai jaan deta hai aish-e-fani par bas isi zindagi pe marta hai rahat-e-jawedan ko bhul gaya koi duniya mein ye bhi karta hai ishq ban kar jiye to khak jiye zinda wo hai jo un pe marta hai nam par us ke sab jo de baitha wahi ek hai jo nam karta hai waqf momin hai aazmaish-e-ishq is mein pura wahi utarta hai jis ko duniya ne na-murad kiya wahi nakaam kaam karta hai hai musalman ki bas yahi pahchan ki faqat ek khuda se darta hai qaul-e-momin hai us ke fel ki sharh wo jo kahta hai kar guzarta hai mutmain rah dila wo jaan-e-jahan wada kar ke kahin mukarta hai mere rang-e-kafan ki shokhi dekh yun hi aashiq tera sanwarta hai aaj kar lo jo kar sako kal tak kaun jita hai kaun marta hai qulzum-e-ishq mein gira so gira us ka duba kahin ubharta hai is qadar ehtiyat ai sayyaad ki qafas mein bhi par katarta hai wahi din hai hamari id ka din jo teri yaad mein guzarta hai mai-e-islam ka bhala 'jauhar' nashsha chadh kar kahin utarta hai