dasht-e-ghurbat mein hui wo aabla-pai ki bas

dasht-e-ghurbat mein hui wo aabla-pai ki bas
aur phir kanton ne ki aisi masihai ki bas

rang wo laya mera zauq-e-jabin-sai ki bas
aastan-e-yar se aakhir nida aai ki bas

jaan-lewa yun hui raaton ki tanhai ki bas
dastan-e-dard-o-gham wo dil ne dohrai ki bas

allah allah ehtimam-e-jalwa-arai ki bas
dida-e-mushtaq ki aisi pazirai ki bas

mujh pe apnon ki huin aisi karam-farmaiyan
meri haalat par wo ghairon ko hansi aai ki bas

kucha-e-jaanan ki jaanib jab kabhi utthe qadam
dur tak samjhane mujh ko zindagi aai ki bas

tazkira tark-e-mohabbat ka kabhi jab aa gaya
naseh-e-mushfiq ne wo taqrir farmai ki bas

sehn-e-gulshan mein kiya tha zikr zulf-e-yar ka
panw mein sumbul ne wo zanjir pahnai ki bas

wajah kuchh be-mehri-e-ahl-e-watan bhi hai zarur
warna ghurbat mujh ko kyon is darja ras aai ki bas

mai-kashon ke haal par fitrat ko jab rahm aa gaya
mai-kade par yak-ba-yak aisi ghata chhai ki bas

mangte the hum khizan ke khatm hone ki dua
us ke jaane par chaman mein wo bahaar aai ki bas

jab shab-e-gham rahm marg-e-na-gahan ko aa gaya
jagne walon ko 'talat' aisi nind aai ki bas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close