dil ko teri nazar se bachaya na ja saka taqdir ke likhe ko mitaya na ja saka tum ne hamein bhula diya dil se magar tumhein koshish ke bawajud bhulaya na ja saka shikwa nahin tumhaara ki puchha na tum ne haal meri khata hai mujh se sunaya na ja saka kaifiyyat-e-sharab-e-mohabbat na puchhiye madhosh ho ke hosh mein aaya na ja saka tasir-e-ishq kahiye ki bechaargi-e-husn un se mera khayal bhulaya na ja saka kuchh dil ki dhadkanen bhi hain aah-o-buka ke sath naghma baghair saz ke gaya na ja saka jo baryab-e-jalwa-gah-e-naz ho gaya wo sar kisi ke dar pe jhukaya na ja saka sad-ehtimam-exarz-e-tamanna ke bawajud ek harf bhi zaban pe laya na ja saka 'talat' junun-e-ishq mein hum ne utha liya wo bar jo kisi se uthaya na ja saka