dasht-e-hawas mein dauDte phirne se kaam tha

dasht-e-hawas mein daudte phirne se kaam tha
khwahish ka asp-e-tez bhi kya be-lagam tha

par phadphadae udne ki himmat na kar sake
bas ek udan bharne mein qissa tamam tha

jo nashsha-e-hayat se sarshaar tha kabhi
hathon mein zindagi ka liye khali jam tha

mulk-e-adam rawana hue rah-rawan-e-shauq
tha koi sust-rau to koi tez-gam tha

kab mustaqil qiyam kisi ka yahan raha
mehman-sara mein aisa kahan ehtimam tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close