jis rahguzar se guzre wahi Khaar-dar thi

jis rahguzar se guzre wahi khar-dar thi
ye zindagi sukun ka ek intizar thi

hain ab jahan uruj pe nafrat ki aandhiyan
is shahr ki faza bhi kabhi sazgar thi

gar mere lautne ka tujhe kuchh gila na tha
kyun rokti nigah teri bar bar thi

palte hain jaan jo shahr-e-wafa se bacha ke hum
kuchh sath apne rahmat-e-parwardigar thi

kis tarah karta yaad ko sochon se tu juda
'farrukh' teri to fikr bhi be-ikhtiyar thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close