dasht-e-tanhai mein jalne ki saza jaane hai kya hai bartaw hawaon ka diya jaane hai main use dil ke dhadakne ka sabab kahta hun aur ek wo ki mujhe khud se juda jaane hai be-zamiron ka bhi jina koi jina hai ki bas lazzat-e-zist to paband-e-ana jaane hai main ek aasuda-e-gham hun sar-e-rah-e-hasti juz mere kaif-e-alam kaun bhala jaane hai tum jo is rah se guzroge to mil jaunga meri manzil mera naqsh-e-kaf-e-pa jaane hai ahl-e-danish ko kahan khanda-labi ki mohlat sirf diwana hi ye tarz-o-ada jaane hai mujh pe kya guzri hai aakhir shab-e-hijran mein 'khatib' mera dil jaane hai ya mera khuda jaane hai