KHarashen aur shikan-alud chehra bol sakta hai

kharashen aur shikan-alud chehra bol sakta hai
samajhne wala koi ho to gunga bol sakta hai

hum apne se bahut chhote ko bhi chhota nahin kahte
zaban us ki hai wo dariya ko qatra bol sakta hai

ata-e-rab alag shai hai ye bandon ka diya hai kya
sikhao jitna tote ko bas utna bol sakta hai

sharafat khun mein hoti hai lahje mein nahin hoti
bura insan kisi ko kaise achchha bol sakta hai

yahan chalte hain sare kaam nazron ke ishaare par
ye bazm-e-naz hai is mein koi kya bol sakta hai

'raza' jis ko abhi rakhte ho tum jaan se aziz apna
adawat mein zara dekho wo kya kya bol sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close