dasht hain nauha-kunan shahr ki virani par

dasht hain nauha-kunan shahr ki virani par
kis ne is shahr ki buniyaad rakhi pani par

ek sharar bhed ke manind chhupa hai dil mein
ek wo ranj ki zahir nahin peshani par

habs ki rut mein chale sans ghanimat samjho
nur ki ek kiran chand hai zindani par

kaun jaane ki ye asrar khulenge kaise
koi ranjur na ho be-sar-o-samani par

tirgi aur badhi jati hai rafta rafta
aaj kyon raat kamar-basta hai uryani par

jism ki had se pare koi khada sochta hai
kaise ab ret ki diwar bane pani par

aasman teri lahad khod raha hai koi
ab zamin aur kise lae nigahbani par

is fusun-kar mohabbat mein yahi hota hai
hont khamosh rahen aankh ho tughyani par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close