dasht hote hue barsat nahin chahte hum yani apne bhi mafadat nahin chahte hum hont cigarette ki talab karte chale jate hain aur is ke muzir asaraat nahin chahte hum ras yaktai bahut aai hui hai hum ko qaid ho kar bhi mulaqat nahin chahte hum jo kai shahron ke mitne ka sabab ho jaen dosta aisi futuhat nahin chahte hum hath phailae tere dar pe pade rahte hain wo jo kahte the ki khairaat nahin chahte hum apne pairon se hamein apna safar karna hai is liye aap ki khidmat nahin chahte hum