safina mauj-e-bala ke liye ishaara tha na phir hawa thi muafiq na phir kinara tha hum apne jalte hue ghar ko kaise ro lete hamare chaaron taraf ek hi nazara tha ye waqia jo sunenge to log hans denge hamein hamari hi parchhaiyon ne mara tha tilism tod diya ek sharir bachche ne mera wajud udasi ka istiara tha ye hausla to gulon ka tha hans pade lekin unhen kisi ka tabassum bhi kab gawara tha ghurur-e-aql mein iman bhi ganwa baithe ye ek jazira to sab ke liye kinara tha use bhi aaj kiya main ne aandhiyon ke supurd bahut dinon se mere pas ek sharara tha hum us ko kaise sunate kahaniyan 'danish' kitab-e-dil ka har ek safha para para tha