dasht hum tujh se talluq ko nibhate kaise hum bhala un ki gali chhod ke jate kaise un ki aankhon mein koi aur basa tha shayad hum se wo nazren milate to milate kaise un ke chehre pe kisi aur ka haq tha shayad hum to qadmon se tawajjoh ko hatate kaise meri hi jaan ka wo man se haq mangta tha pagla yar tha wo jaan bachate kaise us ne puchha hi na tha kaun hain kyun aae hain hum bhi khuddar the phir haal sunate kaise 'bushra' hum apne kiye par bhi na pachhta pae dil ko be-faiz zamane mein lagate kaise