ruthe hain hum se dost hamare kahan kahan tute hain zindagi ke sahaare kahan kahan duniya ki bazgasht mein apni hi hai sada aise mein koi tujh ko pukare kahan kahan kabe mein tha sakun na kalisa mein chain tha tujh se bichhad ke din ye guzare kahan kahan tu tha rag-e-gulu se ziyaada qarib-tar dhundh aae tujh ko did ke mare kahan kahan tare kahin hain phul kahin hain guhar kahin bikhre hue hain ashk hamare kahan kahan shama bhi muztarib hai patanga bhi muztarib pahunche hain soz-e-gham ke sharare kahan kahan fursat mile kabhi to shab-e-gham se ponchhna tute hain chashm-e-'shauq' se tare kahan kahan