dasht ke beach mein talab nazar aate hain hum gharibon ko faqat khwab nazar aate hain chandni khul ke jo barse kabhi sahraon mein ret ke zarre bhi mahtab nazar aate hain jhonpade wale to sote hi nahin sawan mein soen to khwab mein sailab nazar aate hain dil tadap uthta hai jab chand sitare mujh ko kale talab mein gharqab nazar aate hain chand rahat bhare lamhat ki khwahish mein 'obaid' shahr wale sabhi betab nazar aate hain