shuur tak abhi unki kahan rasai hai

shuur tak abhi un ki kahan rasai hai
abhi to kitne khudaon ki wan khudai hai

guman-e-tirgi rakhshandagi pe hone laga
dayar-e-shab ne ajab dastan sunai hai

ab is pe dur nikal aae to khafa kyun ho
ye rah bhi to tumhi ne hamein dikhai hai

kabhi jo mujh se mile wo rahe khamosh magar
pas-e-sukut-e-zaban khub ham-nawai hai

har ek fikr ki tah mein ho jazba-e-khalis
bahut hi sakht taqaza-e-parsai hai

bahut hi khub ki dariya ke pas rahte ho
kaho ki pyas bhi apni kabhi bujhai hai

jo khud hi jada-o-manzil se na-balad hai 'obaid'
ajib baat yahan us ki rahnumai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close