dasht ki aawargi ho chaak-damani bhi ho ishq hai dil mein to wahshat ki farawani bhi ho rahat-e-qalb-o-nazar tum ho tashaffi bhi tumhi aur tum mere liye wajh-e-pareshani bhi ho sukhi aankhon se taka karte hain su-e-asman girya karne ko hamari aankhon mein pani bhi ho kam se kam ye phone hi ka silsila baqi rahe hijr mushkil hai magar kuchh is mein aasani bhi ho kaisi kaisi khwahishen is dil mein pati hain wajud ho angethi tum bhi ho aur raat barfani bhi ho dil dua-go hai 'shakil-athar' ki is ki taba mein hoshiyari hi nahin thodi si nadani bhi ho