waqt ka kya hai mere yar badal jata hai aag lagti hai to bazar badal jata hai hum darakhton ke to phal bhi nahin badle ab tak in parindon ka to ghar-bar badal jata hai khwab har bar sadaen diye rah jate hain ek irada hai ki har bar badal jata hai raat bhar wasl-e-musalsal mein magan rahta hun aankh khulti hai to kirdar badal jata hai man leta hun tujhe mujh se mohabbat hogi par mohabbat mein adakar badal jata hai bain karte hue 'ahmad' ko ye malum nahin bain se ranj ka mear badal jata hai