dasht ko dhundne niklun to jazira nikle panw rakhkhun jo main virane mein duniya nikle ek biphra hua dariya hai mere chaar taraf tu jo chahe isi tufan se kinara nikle ek mausam hai dil o jaan pe faqat din ho ki raat aasman koi ho dil par wahi tara nikle dekhta hun main teri rah mein dam-e-hairat raushni raat se aur dhup se saya nikle is se pahle ye kabhi dil ne kaha hi kab tha raat kuchh aur badhe chand dobara nikle aankh jhukti hai to milti hai khamoshi ko zaban band honton se koi bolta dariya nikle ishq ek aisi haweli hai ki jis se bahar koi darwaza khule aur na daricha nikle sehr ne tere ajab rah sujhai hamdam hum kahan jaane ko nikle the kahan aa nikle