dasht ko ja to rahe ho soch lo kaisa lagega sab udhar hi ja rahe hain dasht mein mela lagega tir ban kar khair se har dil pe jab sidha lagega sher mera dushmanon ko bhi bahut achchha lagega khair hashr-e-arzu par to tumhaara bas nahin hai aarzu to kar lo yaro aarzu mein kya lagega fasl-e-gul jo kar rahi hai samne hai dekh lije main karunga kuchh to nam ab meri wahshat ka lagega nsibatan hi thik hoti hai nazar ki baat maslan hum nahin honge to har kotah qad lamba lagega sarsari andaz se dekhoge to mahfil hi mahfil ghaur se dekhoge to har aadmi tanha lagega zindagi par ghaur karna chhod doge jab 'shuja' aah bhi degi maza aur dard bhi mitha lagega