sikka-e-dagh-e-junun milte jo daulat mangta

sikka-e-dagh-e-junun milte jo daulat mangta
tang karti muflisi gar main faraghat mangta

ranj se fursat na milti main jo rahat mangta
bojh hota sar pe gar qarun ki daulat mangta

gar mujhe hoti khabar mera masiha aaega
ai ajal ek dam ki main bhi tujh se mohlat mangta

khizr ki si zindagi hoti jo mujh nakaam ki
main dua-e-wasl-e-jaanan ta-qayamat mangta

ashk ke dariya ne rakh li aabru ai chashm-e-tar
marte dam do gaz zamin kya bahr-e-turbat mangta

kis ki aamad aamad apne kalba-e-ahzan mein hai
peshwai ko hai dil pahlu se rukhsat mangta

dar-guzarta jaan tak karta zamin us se aziz
mujh se darban-e-dar-e-jaanan jo rishwat mangta

naza tak didar ki hasrat rahi mushtaq ko
ai masiha mar gaya bimar sharbat mangta

dar-ba-dar phirne ne meri qadr khoi ai falak
un ke dil mein hai jagah milti jo khalwat mangta

minnaten kar ke chhudata bulbulon ko dam se
main zar-e-gul deta agar sayyaad qimat mangta

aadamiyyat se hain dur in zahidon ke qaul-o-feal
haqq-e-maurusi tha mera kyun main jannat mangta

jaan di nahaq ko makkara ke dam mein aan kar
kohkan shirin se mehnat ki jo ujrat mangta

qasd karta gar bulandi ka to pasti dekhta
kund ho jati tabiat gar main jaudat mangta

zulf ke janjal mein phansne ki khud karta dua
main sidi tha jo khuda se apni shamat mangta

qael apni guftugu se khas ka hota kalim
'sadi'-e-shiraaz bhi mujh se fasahat mangta

yar hota bagh hota aise gar hote nasib
mai-kashi ki mohtasib se main ijazat mangta

dasht-e-wahshat-khez mein uryan hai 'agha' aap hi
qasid-e-jaanan ko kya deta jo khilat mangta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close