dasht marub hai kitna meri virani se munh taka karta hai har dam mera hairani se log dariyaon pe kyun jaan diye dete hain tishnagi ka to talluq hi nahin pani se ab kisi bhaw nahin milta kharidar koi gir gai hai meri qimat meri arzani se khud pe sau jabr kiye dil ko bahut samjhaya ras aai kahan duniya hamein aasani se ab ye samjhe ki andhera bhi zaruri shai hai bujh gain aankhen ujalon ki farawani se ajnabi aahaten anjaan sadaen mujh mein main to baz aaya kharabe ki nigahbani se aa gaya kaun ye aaj us ke muqabil 'aslam' aaina tut gaya aks ki tabani se