main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun jaise kisi gharib ka ujda mazar hun kyun tanz aap karte hain mere gunah par ye main ne kab kaha hai ki parhez-gar hun yarab meri tarah se koi aur bhi hai kya ya sirf ek main hi yahan sangsar hun jo dil ki baat thi wahi lafzon mein dhaal di duniya samajh rahi hai ki takhliq-kar hun socha tha tujh ko pa ke milega mujhe qarar tu mil gaya to aur bhi main be-qarar hun naz-o-niam se pal ke jis ko jawan kiya afsos aaj main usi bete pe bar hun