dasht mein ghar banati rahti hai aankh manzar banati rahti hai zindagi kuchh hasin pal de kar apne number banati rahti hai band kamre mein sans lene ko soch bhi dar banati rahti hai ashk hote hain motiyon jaise aankh zewar banati rahti hai apni wusat se zyaada udne ko zindagi par banati rahti hai jalta rahta hai bulb kamre mein raushni dar banati rahti hai bhap ud-ud ke meri chae se us ka paikar banati rahti hai