dasht mein gulshan mein har ja ki hai teri justuju ab kahan le ja raha hai ai fareb-e-rang-o-bu aap itna to bata den kab karam hoga huzur kab murawwat mein badal jaegi ye nafrat ki khu sadgi-e-dil pe apni rashk aata hai mujhe ek wafa na-ashna se hai wafa ki aarzu ishq ki manzil mein lakhon karwan gum ho gae rahraw-e-rah-e-mohabbat kya karenge justuju rah gae hain ab to le de kar dil-e-barbaad mein hasrat-e-didar ka gham aur teri aarzu de rahi hai apne daman ki hawa baad-e-sahar teri zulf-e-ambarin hai ek jahan-e-rang-o-bu jab kabhi saqi ne 'jafar' apni nazren pher lin mai-kade mein pi liya hai main ne arman ka lahu