dasht mein hai ek naqsh-e-rahguzar sab se alag hum mein hai shayad koi mahw-e-safar sab se alag chalte chalte wo bhi aakhir bhid mein gum ho gaya wo jo har surat mein aata tha nazar sab se alag sab ki apni manzilen thin sab ke apne raste ek aawara phire hum dar-ba-dar sab se alag hai rah-o-rasm-e-zamana parda-e-be-gangi darmiyan rahta hun main sab ke magar sab se alag de ke aadat ranj ki hota hai mujh par mehrban us sitamgar ne ye sikha hai hunar sab se alag shahr-e-kasrat mein ajab ek rauzan-e-khalwat khula us ne jo dekha mujhe ek lamha bhar sab se alag har koi shamil hua 'sarmad' julus-e-am mein munh uthae chal diya hai tu kidhar sab se alag