is kashakash mein yahan umr-e-rawan guzre hai jaise sahra se koi tishna-dahan guzre hai is tarah talkhi-e-ayyam se badhti hai kharash jaise dushnam azizon pe garan guzre hai is tarah dost dagha de ke chale jate hain jaise har nafa ke raste se ziyan guzre hai yun bhi pahunche hain kuchh afsane haqiqat ke qarib jaise kabe se koi pir-e-mughan guzre hai hum gunahgar jo us samt nikal jate hain ek aawaz si aati hai fulan guzre hai