dasht mein khak udane ka irada nahin hai dil ye sada hai magar aisa bhi sada nahin hai rah-nawardi ka yahan shauq hi be-mani hai kyun-ki ta-hadd-e-nazar koi bhi jada nahin hai us ki tahrir ka taqrir ka main qail hun koi takrar nahin koi iada nahin hai shahzada bhi bhala aage badhe to kyunkar us ke hamrah kahin koi piyaada nahin hai ghar kushada to banae hain yahan logon ne dil kisi ka bhi magar itna kushada nahin hai