dasht mein qais-numa khak udata hai koi yani barson se chali rit nibhata hai koi mere andar ka sukhan-fahm salamat hai abhi khwab mein 'mir' ka ek sher sunata hai koi phul gul-dan mein rakhte hain sabhi mezon par nam kaghaz pe tera likh ke sajata hai koi jis tarah ahd-e-guzishta ko nibhata hai koi yun teri yaad ka tehwar manata hai koi girwi rakhta hai badan aankh jawani sab kuchh khwab ko bech ke ta۔bir kamata hai koi