dariya talak rasai ka rasta na ban saka kuza-garan-e-shauq se naqsha na ban saka khud ko jala ke rakh udai falak ki samt shoala to ho gaya main sitara na ban saka karta raha hai fakhr jo apne nasib par mazi mein kho gaya kabhi farda na ban saka dekha gaya tha sang-e-nazar se jab aaina aise chatakh ke tuta dobara na ban saka sail-e-sarishk-e-sham ki jaanib chala 'suhaib' soz-e-darun ka phir bhi kinara na ban saka