dasht mein raat banate hue darta hun main apni aawaz bujhate hue darta hun main tangi-e-waqt ka matam nahin rukne wala wala arsa-e-hijr badhate hue darta hun main main dushmanon se wahi karta hai hifazat meri jis ko aawaz lagate hue darta hun main rakh ke dher pe ye nachte gate hue log ab yahan phul khilate hue darta hun main jit jaenge yahan shor machane wale gungunate hue gate hue darta hun main sab jahangir niyamon se nikal aaenge ab to zanjir hilate hue darta hun main