dil ki dhadkan ulajh rahi hai ye kaisi saughat ghazal ki tar-e-nafas par ungli rakh di chhed ke tum ne baat ghazal ki us ka chehra us ki aankhen ek qayamat hae mohabbat taswiren khud batlati hain sari tafsilat ghazal ki wahi kahani dohraenge wahi nishani phir dhundenge aadam aur hawwa se judi hai asl mein talmihat ghazal ki safha-e-dil par misra-e-tar ki shakl mein aansu girte hain dard ke baadal chhate hain to hoti hai barsat ghazal ki hawa hue wo din ki ghazal karti thi bas mahbub se baat waqt ka manzar-nama badla badli tarjihat ghazal ki chulhe-chauke se be-zari fikr-e-sukhan aasab pe tari jagte sote rah nihaarun 'rakhshan' main ban raat ghazal ki