dasht mein udte bagulon ki ye masti ek din ek din hai sar-bulandi aur pasti ek din ek din tu bhi isi bazar mein bik jaega aur koi shai na hogi tujh se sasti ek din naqsh jitne hain baha le jaenge ashk-e-rawan aur rah jaengi ye aankhen tarasti ek din rafta rafta ye dhundalke aur badhte jaenge yak-ba-yak viran ho jaegi basti ek din ek din jal jaunga main bhi chita ki aag mein khak mein mil jaegi teri bhi hasti ek din do dinon ki zindagani kufr kya islam kya ek din kabe mein sajda but-parasti ek din gar yun hi ghaalib raha hum par sukhan ka qarz ye rang laegi hamari faqa-masti ek din