zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain makan nasib nahin la-makan mein rahte hain wo dol dalen kisi kar-e-paedar ka kya jo be-sabaati-e-umr-e-rawan mein rahte hain hum aise ahl-e-chaman gosha-e-qafas mein bhi hisab-e-khar-o-khas-e-ashiyan mein rahte hain na bud-o-bash ko puchho ki hum faqir-manash sukhan ke mabad-e-be-saeban mein rahte hain kahan talash karoge hamein ki hum to mudam huzuri-e-dil-e-be-khanuman mein rahte hain nashe ki lahr mein khum khum lundha ke aab-e-hayat sarab-e-zindagi-e-jawedan mein rahte hain nai mohabbaten 'khalid' purani dostiyan azab-e-kashmakash-e-be-aman mein rahte hain