dasht mein wadi-e-shadab ko chhu kar aaya main khuli-ankh hasin khwab ko chhu kar aaya us ko chhu kar mujhe mahsus hua hai aise jaise main resham-o-kim-khwab ko chhu kar aaya mujh ko malum hai poron ke damakne ka jawaz raat main khwab mein mahtab ko chhu kar aaya jism ke sath meri ruh bhi nam hone lagi jab se us dida-e-pur-ab ko chhu kar aaya ruh ki kai isi taur se chhatna thi so main subh-dam mimbar-o-mehrab ko chhu kar aaya murtaish kirnon ka raqs ek ghadi bhi na thame chand kis tarz ke talab ko chhu kar aaya