dasht mein yar ko pukara jae qais sahab ka rup dhaara jae mujh ko dar hai ki pinjra khulne par ye parinda kahin na mara jae dil use shab kar sada mat de kaun aata hai jab pukara jae dil ki taswir ab mukammal ho un ki jaanib se tir mara jae lash maujon ko hukm deti hai le chalo jis taraf kinara jae dil to hai hi nahin hamara phir tut jae to kya hamara jae ye tera kaam hai nae mahbub dubte shakhs ko ubhaara jae