dasht-o-dariya ke ye us par kahan tak jati ghar ki diwar thi diwar kahan tak jati mit gai hasrat-e-didar bhi rafta rafta hijr mein hasrat-e-didar kahan tak jati thak gae hont tera nam bhi lete lete ek hi lafz ki takrar kahan tak jati laj rakhna thi masihai ki hum ko warna dekhte lazzat-e-azar kahan tak jati rahbar us ko sarabon mein liye phirte the khilqat-e-shahr thi bimar kahan tak jati har taraf husn ke bazar lage the 'baqi' har taraf chashm-e-kharidar kahan tak jati