ahl-e-dil ke waste paigham ho kar rah gai zindagi majburiyon ka nam ho kar rah gai ho gae barbaad teri aarzu se pesh-tar zist nazr-e-gardish-e-ayyam ho kar rah gai tauba tauba us nigah-e-mast ki sarshaariyan derpa tauba bhi gharq-e-jam ho kar rah gai us nigah-e-naz ko to koi kuchh kahta nahin aur mohabbat ki nazar badnam ho kar rah gai har khushi tabdil gham mein ho gai tere baghair subh mujh tak aai bhi to sham ho kar rah gai ru-ba-ru un ke kahan thi fursat-e-izhaar-e-gham lab ko ek jumbish barae nam ho kar rah gai un ke jalwon ki sahar to 'tarz' duniya le gai gesuon ki sham apne nam ho kar rah gai