dasht o sahra agar basae hain hum gulistan mein kab samae hain aap naghmon ke muntazir honge hum to fariyaad le ke aae hain ek apna diya jalane ko tum ne lakhon diye bujhae hain kya nazar aaega abhi hum ko yak-ba-yak raushni mein aae hain yun to sara chaman hamara hai phul jitne bhi hain parae hain