dard ke mausam ka kya hoga asar anjaan par dosto pani kabhi rukta nahin dhalwan par aaj tak us ke taaqub mein bagule hain rawan abr ka tukda kabhi barsa tha registan par main jo parbat par chadha wo aur uncha ho gaya aasman jhukta nazar aaya mujhe maidan par kamre khali ho gae sayon se aangan bhar gaya dubte suraj ki kirnen jab padin dalan par ab yahan koi nahin hai kis se baaten kijiye ye magar chup-chap si taswir aatish-dan par aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de titliyan mandla rahi hain kanch ke gul-dan par bas chale to apni uryani ko us se dhanp lun nili chadar si tani hai jo khule maidan par wo khamoshi ungliyan chatkha rahi thi ai 'shakeb' ya ki bunden baj rahi thin raat raushan-dan par