dasht-o-sahra ko bhi wo manzar suhane de gaya

dasht-o-sahra ko bhi wo manzar suhane de gaya
aur zaban par pattharon ki wo tarane de gaya

maskh hone lag gae ehsas ke chehre tamam
dhup ke jalte hue wo aashiyane de gaya

dam phailaega kal apni hawas ka bil-yaqin
aaj to wo ai parinde chand dane de gaya

dekhte hain tere giton mein tera chehra sabhi
dil bahal jaenge jin se wo bahane de gaya

wo raha masrur mahfil mein charaghon ki magar
naz hum ko in andheron ke uthane de gaya

khun-chakan manzar diya aur zahr ka dariya diya
apni taqriron mein shoalon ke fasane de gaya

shukriya sad-shukriya ai shair-e-bismil ki tu
dard se mamur ghazlen gungunane de gaya

is se badh kar aur kya saughat hogi ai 'qamar'
zakhm-e-dil dard-o-khalish kitne khazane de gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close