bhuk iflas taqazat se dar lagta hai ab to bachchon ke sawalat se dar lagta hai khisht-bar-khisht chuna karta hai diwar-e-ana dil ke in kashf-o-karamat se dar lagta hai chup raho waizo ab aur na uljhao hamein aap ke waz-o-khitabaat se dar lagta hai na milun khud se kahin khauf sada rahta hai ab to bas zikr-e-mulaqat se dar lagta hai gir na jaun main zamana ki nigahon se kahin ghar ke bigde hue haalat se dar lagta hai tir-o-nashtar ki tarah dil mein utarte hain 'qamar' tere alfaz ke aalat se dar lagta hai