dasht-zar-e-gham mein aatish zer-e-pa hum bhi rahe

dasht-zar-e-gham mein aatish zer-e-pa hum bhi rahe
ek sulagti tishnagi se aashna hum bhi rahe

intizar apne liye tha intishaar apne liye
yas ka sahra samundar aas ka hum bhi rahe

talkh tursh aur tez misl-e-zahar duniya hi na thi
gard sard aur tund manind-e-hawa hum bhi rahe

jam gain hum par bhi nazren zohra-o-mirrikh ki
waqt ke dil ke dhadakne ki sada hum bhi rahe

jism ke zulmat-kade mein surat-e-qandil zat
saikdon pardon mein rah kar barmala hum bhi rahe

kaisi mahrumi hai 'akbar' ye ki khud apne liye
apne hi sae ki surat na-rasa hum bhi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close